India vs Bangladesh scorecard — super four clash
Kal ka match sach me dhamakedar tha — India vs Bangladesh ka Super Four clash Asia Cup 2025 me. Fans ke liye excitement double thi kyunki ye ek high-voltage encounter tha. Sabse zyada search hua keyword tha India vs Bangladesh scorecard, aur is blog me hum pura breakdown denge: kaun top scorer tha, kisne sabse zyada wickets liye aur match ke key moments.
Match Scorecard
Match Details
India ki Batting — Key moments
India ne powerplay se hi aggressive start kiya.
- Abhishek Sharma — Star of the Match!
- 37 balls pe 75 runs.
- 8 fours aur 4 sixes ki madad se pure stadium ko joshila banaya.
- Ek baar early drop hua, aur uske baad unhone Bangladesh bowlers ki waat laga di.
- Shubman Gill — Solid support, 29 runs.
- Pandya — Middle order sambhala aur 38 runs jode.
India vs Bangladesh scorecard clearly dikhata hai ki Abhishek ki innings match ka turning point thi..
Bangladesh ki batting aur chase
Bangladesh ke liye chase easy nahi tha:
- Saif Hassan ne akela fight diya — 51 balls me 69 runs.
- Baaki batsmen jaldi out hote gaye.
- Partnerships ban hi nahi paayi, aur scoreboard pressure badhta gaya.
- Partnerships ban hi nahi paayi, aur scoreboard pressure badhta gaya.
India Ke Bowling Highlights
India ke bowlers ne tight aur attacking bowling ki.
- Kuldeep Yadav — Spin ke master, 3 wickets sirf 18 runs me.
- Jasprit Bumrah — Apne yorkers aur pace se 2 wickets liye.
- Varun Chakaravarthy — ne bhi timely breakthroughs diye.
Records & Key Facts
- Abhishek Sharma — sabse zyada runs banane wale India ke player iss match me.
- Overall Asia Cup history me,Rohit Sharmahai top run scorer for India.
- India vs Bangladeshrivalry me T20s ke andar India ki dominance abhi bhi barqarar hai — 18 me se 17 matches India jeeta.
Fans’ Reaction
- Social media pe Abhishek Sharma trend kar rahe the.
- Memes aur tweets me unko “Bangladesh ka nightmare” bola ja raha hai.
- Kuldeep Yadav ki bowling bhi fans ke liye ek highlight thi.
- Hashtags jaise #IndvsBan, #IndiaWins aur #AsiaCup2025 top trends me the.
Impact aur Conclusion
Ye match ek baar fir prove karta hai ki India ka top-order aur bowling unit dono world-class hai.
India vs Bangladesh scorecard sirf numbers nahi hai, balki ek kahani hai jisme Abhishek Sharma ki blazing batting aur Kuldeep Yadav ki deadly spin ne stage dominate kiya.
Bangladesh ko ek baar fir apne batting depth pe kaam karna hoga. Saif Hassan ke alawa kisi ne fight nahi dikhayi.
Ab sab fans ki nazar final pe hai — kya India apna Asia Cup crown dobara jeet payega?